How To Get 4000 Hours Of Watch Time & 1000 Subscriber On Youtube

How To Get 4000 Hours Of Watch Time & 1000 subscriber on youtube.youtube ne apni policy badal di hai jis waqt se youtube ne advertisement ka jo jadwal hai wo shuru kiya hai. to us waqt se le kar 2016 tak jab be hum youtube ka naya channel banate our google adsense ke liye apply karte to hamara jo application hai wo 3 ya 4 din mai approved ho jata ta.

youtube ne apni policy badal di hai jis waqt se youtube ne advertisement ka jo jadwal hai How To Get 4000 Hours Of Watch Time & 1000 subscriber on youtube


phir 2017 mai youtube ne apni policy badal de ke jis youtube channel ke 10000 views honge to tab ja ke us ka google adsense ka application approved hoga.our wo apni youtube ki videos ko monetize kar sakega.lekin foran aik saal baad 2018 mai youtube ne phir apni policy badal dali.ke ke jo be naya youtube channel banayega our us ke channel ke jab tak 4000 hours watch time nahi hogi our 1000 subscriber tab tak us ka google adsense ka application approved nahi hoga.

ab baat ye hai ke aakhir kaise hum ye 4000 hours watch time our 1000 subscriber hasil karenge.to is ke liye aap ko aik baat apni zehen mai dalni hogi ke aap ka jo content hai wo bilkul original hona chahiye us mai kisi be kisam ka copyright issue nahi hona chahiye.

How To transfer Money From Easypaisa Mobile Account

doosry baat apni youtube videos ke liye attractive thumbnail banaye. ke jab koi use dekhe to us ka video dehkne ka mann kare.

teesri baat ye ke aap ke youtube channel ka jo title wo acha hona chahiye us mai keyword ka istimaal kare.our description our tags lazmi dale buhat se dost aise hai jo video to achi bana lete hai lekin un ki video ka title be acha nahi hota our description our tags be nahi dalte to apni videos ka description our tags lazmi de our title,description aapke video ke mutabik hone chahiye.our un mai keyword ka istimaal kare.

choti baat youtube video ko promote karne ke buhat saare tariqe hai.social media ko istimaal kare jaisa ke facebook,twitter our instagram is per ba aasani aap apni videos ko promote kar sakte hai.our Internet per our be buhat zyada tariqe jis mai aap logo se chat kar ke apni videos ko promote kar sakte hai.our social media managing apps ke zariye be app apne youtube channel ko promote kar sakte hai. 

google adword keyword planner tool to ab paid ho chuka hai.jis se hum apni youtube videos ke title,description our tags ke liye keywords talash karte te.to neeche is video mai aap ko free keyword tool ke baare mai bataya ja chuka hai.agar aap be keyword tool use karna chahte hai to is video ko zaroor dekhe.

Belum ada Komentar untuk "How To Get 4000 Hours Of Watch Time & 1000 Subscriber On Youtube"

Posting Komentar

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel